Friday, May 12, 2006

Hindi Poetry

Statutory Warning: With whatever hindi I have learned, spoken and written, through my stay in the various provinces in India, I am warning you that reading this poetry maybe harmful to whatever hindi knowledge you already have. The poet (self-claimed) is not responsible for any of the damages that may be caused to an individual or organization upon reading the following poems.

This first one is a genuine – dil ki pukar, to one of my friend that just got typed down on a piece of paper. Sincerely, I still don’t understand how the emotions turn into poems and eventually a post on this blog.

Ek din apne ek dost ko maine phone lagaya
Magar phone to sirf bajta hi gaya
Nahi usne phone uthaya, na uske kisi saathi ne
Yehi problem hai landline ka sochkar aazmaya doosra paitra maine

Phir maine uske cell par try kiya
Lekin usne bhi mujhe ek angreezi gaana sunaya
Na kisi ne phone uthaya, na chod saka main message
Aur Jab kiya use SMS, to report aaya ‘Undelivered Message’

Do din ke asafal prayaas ke baad
Ek mutual friend ke through pata lagaya hisab
Bola who mujhe ‘apne chaavi par uda chuka woh apna pre-paid credit’
Aur PG ke chakkar mein jo choda usne job, saath gava baitha the power of debit

Phir maine socha kyun na likhun use ek patra
Lekin kismet mein likha na tha humara mel ya mail
Jo woh bhi vapas aa gaya kehke ‘No claimant to avail’
Bas gujre mere baaki din karke uski yaad
Lekin dukh isi baat ka rahega ki bichadne se pehle na kar sake baat
.


This next one was just a thought that cropped up in my mind and was wonderfully modified by my dear friend Adarsh.

Main aur meri lighter aksar yeh baatein kiya karte hain
Sutta hota to kaisa hota, agar maachis na hota to kaisa hota
Tum is baat par jal jaati, tum us pal boojh jaati
Maachis hota to aisa na hota, Maachis hota to vaisa na hota
Main aur meri lighter aksar yeh baatein karte hain

Yeh maachis hai ya teri sautan
Yeh tiliyaan hai yaa uske dil ki dhadkan
Yeh Homelite ka brand hai yaa TATA ka vishwaash
Hawa ka jhonka hai yeh uske dhadakti aag
Sutte har bar aakhir uski baahon mein kyun samaa jaati
Tumhaari dil ki aag hai yaa ek dhokha
Yeh flame ki takraar hai yaa sutte ke patile se ikraar
Ki jab mujhko bhi yeh khabar hai ki sutta maachis ke saath hai
Magar yeh dil kehta hai ki sutta sirf tere saath hai, tere saath hai
Main aur meri lighter aksar yeh baatein kiya karte hain

Majboor yeh haalaat idhar bhi hai aur udhar bhi
Sutte ki jazbaat idhar bhi hain aur udhar bhi
Dil keh raha lighter ke paas jaao, patila keh raha hai maachis mein sama jaao
Stub kehta duniya ki saari rasmein mita dein
Deevar jo hum dono ke beech hai woh mita dein
Dhooyein mein is maachis aur is patile ko jalaa dein
Kyun dil mein sulagte logon ko hum bata dein
Haan humko tambaakoo se mohabbat hai, mohabbat hai
Ab dil mein yeh baat idhar bhi,aur udhar bhi

Main aur meri lighter aksar yeh baatein kiya karte hain
Cigarette smoking is injurious to health na hota to kya hota
Dhumra-paan nishedh naa hota to kya hota
Main aur meri lighter

5 comments:

Anonymous said...

good work.. check out http://ronsaik.blogspot.com/

Anonymous said...

I never knew that you have so much of talent :))

Keep on writing and be in touch.

Anonymous said...

sorry KS, cant understand the language, no comments.

Anonymous said...

kuch line achi lagi ......kuch line achi nahi lagi....thoda mehnat karega to ek kavita future mai zaroor banagi giski sabi line achi hogi. !!!

Tuls said...

Wuhooo .. Katrix .. never knew your "poetic" side :)